Mujhe bike chalaane ka shauk kabhi nahi raha..car ne mujhe kabhi Facinate nahi kiyaa..halanki isaka kaaran Arthik awastha ki wajah se Car ka na hona bilkul nahi hai..lekin bike chalana kuchh vishesh mauke per bahut achha lagta tha..
shaam ko halki barish hone ke Dauraan jab main 3 dosto ko bike per bithaa kar hostel se
nikltaa to jaane kyu siir per rumaal ki patti banakar baandhne ka mann karta aur aaisa karna mujhe jems bond ke kafi paas la kar khada kar detaa..uss waqt apni taraf dekh rahi ladkiyon ke aankho me prabhavit hone ka jo bhaav dikhtaa wo kafi sachcha bhi lagtaa aur iss sabka poora credit jata .."rumaal" ko... mujhe rumaal ka koi bhi dusraa upyog aaj bhi nahi samjh aaya..iska pramaan ye ki jab se siir per rumaal bandhne se padne wale dushprabhav ka rahasya samjh aaya.. rumaal rakhna hi chhod diyaa...koi ladki kandhe per siir rakh kar roye..isaki bhi ummeed nahi….
A handkerchief is a square of fabric....
No comments:
Post a Comment