Har aam insaan raaj neta aur writers ki tarah merii bhi bachpan ki dher sari yaade hain..kaththi aur meethi yaadon ka pulinda hai bachpan..swabhavik hai meethii yaaden jyada hai..shayad bachpan isiliye achha hota hai ki khatti baton ko samjhne ka avgun hota hi nahi hai..aur bachpane me khatti lagii baate hi yaaddast ki sabse meethi baatein hotii hain.. khataas se bhare bachpan ki yaad bhi jindagi ke har mushkil daur me meethas ka ahsaas kara detii hai...jab kitabo me mahaan lekhako dwara likhe unake bachpan ki yaadon ko padhta hoon to jyadater baato se khud ko jod paata hoon ...sirf iss baat se ki KAASH HUM FIR BACHCHE ho jaate.. nahii..bachpan se judi sabse khushnuma baat ye hai ki bade hokar usako yaad kiyaa jaaye.. aur bada hone ki prakriyaa jitani TEZ ho utani achhi...kitaab, school aur religion chunne ka haq har bachhe ko milnaa chahiye….
aaj tak kisi darshnik ke intazaar me hoon jo ye samjhaa sake ki bachpan me hi School jana jaroori nahii.. bade hokar bhi padhaa ja saktaa hai.. binaa padhe bhi vidwaan huaa ja saktaa hai..kisi ko jabardasti Kalaam kyu banana jab wo kabir banaa chahta ho.... mera bachpan ki mithaaas mein, khataas sirf school ne gholi hai... aaj dekhta hoon to reading ka jabardast shauk hai.. BOOK me likha har TEXT padh saktaa hoon shayad sirf isliye
ki wo
TEXT-BOOK nahi hai...
No comments:
Post a Comment